Kuch pal bade ajeeb hote hai, 
harr lamhe mai ek dard kyu hota hai !
Soch ek sawaal kyu banti hai,
Dil harr cheez ke liye bechaen kyu hota hai !
Musskurahat ke peechein kyu koi ghum chuppa raheta hai,
Rahat ke peechein kyu kisi tadap ka saaya hota hai !
Jazzbaton se aassuon ka rishta kya hota hai,
Raat katt jaati hai phir Din ko uska entzaar kyu raheta hai !
Dhup ki kirne chaav se chidati kyu hai,
Maut ka saaya kyu Zindagi ke peechein hota hai !
Dharti -Aasma juda hoke bhi milte se deekhte kyu hai,
Apne aanchal se tutt te taarein pe kyu amber ko dard hota hai !
Dikhta shant sa sagar per uski lahero mai hulchal hoti kyu hai,
kyu Mahek uth ti hai dharti pani jab uss pe baras jata hai !
Enn sab sawalon ka shayad karan rahi hogi yeh soch,
Jawab bhi mile honge kayee, jab durr gayi hogi yeh soch !
Shayad soch ka sawal bann na behadd jaruri hai,
Aur soch se sochkar zindagi ke harr sawaal ka jawab dena Ensaan ki majboori hai !

No comments:
Post a Comment