Ehsaas naam ki kitaab ka ek panna hota hai,
Joh dil ki hasraton aur khawabon ki duniya se,
Ess zindagi mai bebak tareeke se likha jata hai!
Zindagi palat ti raheti hai uss kitaab ka harr ke panna,
Aur ensaan khayali sayahi se bas panne pe likhta jata hai!
Uss PYAAR naam ke ehsaas ko tab tak uss kitaab pe likha jata hai,
Jab tak uss ka rang aab-on-hawa mai fela ho,
Fir ek din bedard tareeke se uss rangeen panne ko faad dia jaata hai!
Kuch saalon baad jab zindagi unn panno ko wapas se palat ti hai,
Woh kitaab toh musskrahat deti hai lekin,
Uss paane ki sayahi aansun bann ke baheti hai!
Hassraton aur khawabon ki duniya ka jab,
Asliyat se koi rishta nahi hota,
Fir kuy yeh jazzbaat ka panna likha jaata hai,
Leke chehre pe jhuti si hansi aur tukade kar ke uss paane ke,
Ensaan ess paak se ehsaas ko Galat kaheta hai!
Kyu ensaan pyaar shabd ko galat kaheta hai....galat kaheta hai.
(D Guru....)

No comments:
Post a Comment